Sadeo Apne Paapon ki Chama Prayaas Karoge
Aur Pavitra Aatma ke saaf karne ki Shakti se jo humare humesha ki saathi hai, hum humesha apne paapon se chama prapt kar saktein hain.
Ek janamana waakya Raja Benjamin jo apne shikshan mein Uddhaarkarta aur Uske Balidaan ke baare mein istamaal karta hai saalon se mere shikshan aur soch ka sirshak ka bhaag hai.
Uske logon ke saath badhatey hue bhaashanon mein usne sewa aur prem kiya, Raja Benjamin ne Parmeshwar ke mahima ko jaanne ki aur Uske prem ko anubhao karene ki, paapon se chama prapt karne ki, humesha Parmeshwar ke mahaanta ko yaad karne ki, aur vishwaas se humesha prarthna karne ki zaroorat ko batlaya.1 Usne yah bhi vaada kiya ki yah karne se, “tab tum sadeo anand manaaoge, aur Parmeshwar ke prem se bhare rahoge, aur sadeo apne paapon ki chama prayaas karoge.”2
Mere sandesh ka mul hai ki sadeo apne paapon ki chama prayaas karo Is kahaawat ki sachaai yah hai ki Prabhu Ishu Masih mein humare vishwaas mazboot ho aur chelatev badhe. Main prarthna karta hoon ki Pavitra Aatma hume prerit kare aur sudhaare jab hum khaas dhaarmik sachchaaion par rahe.
Dhaarmikta ka Jaagrikth Hona
Maranshilta mein hum sharirik payedaish ko anubhao kartein hain aur dobara dhaarmik taur se jaagrikth hone ki aosar se.3 Hume bhavishyevaktaoun aur devduton se “chetaaouni prapt hota hai “Parmeshwar ko, ”4 ki “dobara jaagrikth hona,”5 aur “Maseeh mein …naye vishwas ko banaya”6 humare jiwan mein Ishu Masih ke Balidaan ke ashirwaad ko praapt karne se. “Pavitra Aatma mein daya aur mahima ki sachaai se”7 prakritik manushye ki swabhaawik prakritik aur khudh hi ke liye sochna bandh nahi karta hai aur ziyada aatamnirbhar, sachcha, aur sant nahi banta. Hume is tarah jeene ke liye batlaya jaata hai taaki hum “antim din mein [Prabhu] ke saamne bedaag khade rahe.”8
Pavitra Aatma aur Purohiti Siddhaant
Bhavishyevakta Joseph Smith ne khaas taur se purohiti siddhanton ko Ishu Masih ke susamachaar ke dwara batlaya hai. Parmeshwar ki Aatma ke siddhaanton se dhaarmikta jaagrikth hota hai.”9 Yah saaf aur asaan taur se dhaarmik jaagrikta ke dono Pavitra Aatma aur pavitra siddhaanton ke nev ke gawahion ko batlata hai.
Pavitra Aatma Parmeshwartav ka teesra sadesye hai. Wah aatma ka bana hua hai aur sabhi sachchaai ki gawahi deta hai. Susamachaaron mein Pavitra Aatma ko Dayawan,10 ek Shikshak,11 aur ek Prakat karne waala ki tarah bulaya gaya hai,12 Saat mein, Pavitra Aatma ek Shudhikaran, 13 karne waala hai jo manushyon ke aatma se buraai ko dur karta hai jaesa aag karta hai lohe ko.
Uddhaarkarta ke susamachaaron mein Pavitra siddhaantein aur Uske paas jaane ka tarika aur dhaarmik jaagrikth ko dhoondhane ke liye mukhye hai. Siddhaantein pavitra hai jiska dhaarmik mahatav, mulye hai, aur Parmeshwar ke niyam aur tarike se banaya gaya hai,14 Sabhi bachane waale siddhaantein aur prabhu bhoj ki siddhaant ko unke dwara hona chahiye jiske paas purohiti ki khaas chaabie hai.
Prabhu ke dobara punaharsthaapit hue Girjaghar mein mukhti aur pratikaran ke siddhaantein hue waale kaarye ya chin se ziyada mayane rakhti hai. Bhale hi, weh adhikaar ke tarikon se bana hua hai jis se hum sab ke veyaktigat jiwan mein swarg ke ashirwaad aur shakti ko pradaan kar sakta hai.
“Aur yah mahaan purohiti susamachaar ki dekhrekh karta hai aur raajye ke anokhe chaabiyon ko rakhta hai, aur Parmeshwar ke gyaan ki chaabie ko bhi.
“Isliye, in siddhaanton mein, parmeshwartav ki Shakti rahati hai.
“Aur in siddhaanton ke bina, aur purohiti ke adhikaaar ke, parmeshwartav ki shakti insan ke sharir mein prawesh nahi kar sakta hai.”15
Siddhaantein jo sachchaai aur iszzat se prapt hoti hai weh parmeshwartav ke shakti ko aur Uddhaarkarta ke Balidaan ke sabhi ashirwaadon ke dwara khaas taur se prapt ho sakta hai.
Siddhaanton ke dwara Paapon se Mukhti ko Dhoondha aur Praapt kiya jaata hai
Is kaarye ko achchie tarah se karne ke liye hume humesha humare paapon ke liye chama dhoondhna chaiye, hume zaroori hai ki hum pahale in teen siddhaanton ke pavitrata ke beech ki nazdeeki ke netadari ko jaane jo swarg ke Shakti ko pradaan karta hai: baptisma ke dwara lene se, Pavitra Aatma ke uphaar ko haanton ko sir par asirwaad ki tarah se prapt karne se, aur prabhu bhoj se.
Paapon se chama ke liye paani mein Baptisma ko lena Ishu Masih ki “susamachaar ke siddhaanton ka shuruwaat hai”16 aur jo Uddhaarkarta mein vishwaas se hi aur sachche paschaataap se hi ho sakta hai. Yah siddhaant “Parmeshwar ka bananya hua chin aur vaada hai jo [Uske bachon] ke liye Uske raajye mein jaane ke liye banaya gaya hai.”17 Baptisma ko Aaronic Purohiti ke adhikaar ko rakhne waale ke dwara kiya jata hai. Uddhaarkarta aur dhaarmikta ko jaagrikth karne ke liye, baptisma humare aatma ko pahale saaf taur se saafkarta hai.
Baptisma ke vaada mein teen mukhye karye hain: (1)Ishu Masih ke naam mein vishwaas karna, (2) Usko humesha yaad karna, aur (3)Uske aagyaaoun ka paalan karna. Is vaada ko nibhaane ka yah ashirwaad hai ki “[humare] saath humesha uska Aatma rahega.” 18 Phirbhi, baptisma ek khaas taeyaari hai Parmeshwartav ke teesre sadesye ko humesha saath rakhne ke aosar kop rapt karene ka
“Paani ke [dwara] Baptisma … Aatma ke baptisma ke sath hona chahiye taaki pura ho sakey.” 19 Jaesa Uddhaarkarta ne Nicodemus ko sikhlaya tha, “Jab tak koi manushye jal aur Aatma se na janame to, wah Parmeshwar ke raajye mein parwesh nahi kar sakta hai.” 20
Bhavishyevakta Joseph Smith dwara zor diye gaye teen bhaashan ka mukhye matlab hai baptisma ke siddhaant ko paapon se chama ke baad lena aur Pavitra Aatma ka uphaar ko haanton ko sir par rakhne se prapt karne ka.
Bhaashan 1: “Baptisma Pavitra Aatma ki taeyaari ke swaagat ka ek pavitra siddhaant hai; yah wah chanel aur chaabie hai jise Pavitra Aatma dekhrekh karega.”21
Bhaashan 2: “Tum insaan ke bajaaye ek reth se bhare bastey ko baptisma detey ho, agar paapon se sachche tarah se praeschit nahi hua ho aur Pavitra Aatma prapt kiya ho. Paani se baptisma lena kewal aadha baptisma hai, aur dosre aadhe ke bina kuch bhi nahi hai –yah hai, Pavitra Aatma ka baptisma.”22
Bhaashan 3: “Paani ke dwara baptisma, aag ke beggar baptisma aur Pavitra Aatma ka bhaag lena, koi matlab ka nahi hai; weh humesha aur saath jude hotein hain.”23
Humesha praeshchit karna, baptism tatha siddhaant aur Pavitra Aatma ke uphaar ko prapt karne ka siddhaant saath mein juda hota hai,aur paapon se paapon se chama ka mahaan ashirwaad humesha dharamshaastron mein batlaya gaya hai.
Nephi ne batlaya, “Ki jis duwaar se tu parwesh karega wah paschataap aur jal dwara baptisma hai; aur phir aata hai aag aur Pavitra Aatma dwara tumhare paapon ka chama kiya jaana. ”24
Uddhaarkarta ne khudh hi batlaya, “Ab yah aagya hai ki: Paschaataap karo, sabhi duniya ke rahane waalon mere paas aao aur mere naam, se baptisma lo, taaki tum Pavitra Aatma ka swaagat karo, taaki tum Pavitra Aatma ka swaagat kar sako, taaki tum antim din mere saamne bedaag raho.”25
Haaton ko sir par rakh kar Pavitra Aatma ka uphaar dena ek siddhaant hai jo Melchizedek Purohiti ke adhikaariyon dwara hota hai. Uddhaarkarta aur dhaarmik jaagritkta tak,jaane ke liye, humare jiwan mein Pavitra Aatma ki ashirwaad ki shakti ko prapt karne se humare aatma ko paap se chutkara karne ki chamta banata hai. Yah khushihaali ka ashirwaad mukhye hai kyuki “Parmeshwar ke saath koi bhi ashudh nahi raha sakta hai.”26
Prabhu ke punaharsthaapit Girjaghar ke sadesye ki tarah, hume dono ashirwaad prapt hota hai baptisma ke saath humare paap se mukht hone mein aur anewaale paap se bachne ki chamta mein Pavitra Aatma ki Shakti aur saath hone ke dwara se pura hota hai-aur teesre Parmeshwartav ki sadesye se bhi.
Socho ki kis tarah kisaan bone aur kaatne ke liye badaltey hue tarike par nirbhar rahata hai. Bone aur kaatne ke beech ki samajh aur pure saal bhar ke mausom mein kisaan ko fasle ko lene aur karne ke liye bhahut zaroori hai. Ussi tarah, paap se chama ke liye baptisma ke siddhaaton aur Pavitra Aatma ke uphaar ko sir par haaton ko rakh kar prapt karne ki atoot kadi hai jo humare chelatav ki tarah humare jiwan ke sabhi mausomon mein peabho dega.
Prabhu bhoj teesra zaroori kaarye hai parmeshwartav ke Shakti kop rapt karne ke liye Taaki hum apneaap ko duniya se puri tarah se bacha sakein, hume aagya prapt hua hai ki hum prarthna ke ghar ko jaye aur Prabhu ke pavitra din par hum prabhu bhoj ko lein.27 Kripa Prabhu ke sharir aur khoon ko yaad karein, roti aur paani, dono ko ashirwaad aur sudh kiya jata hai. “Are Parmeshwar, Anant Pita, hum aap ke Putra, Ishu Masih ke naam se chaatein hain ki, is roti [ya is paani] ko shudh kare un sabhi ke liye jo is ko lein [ya piye].”28 Shudh karne ka matlab hai ki saaf aur pavitra karna. Prabhu bhoj ko Masih ki shudhta ki tarah shudh kar ke yaad kiya jata hai, Uske Balidaan ke upar apni puri nirbharta ke saath, aur humare siddhaanton aur vaadon ko iszzat se karne ki zimmedarion se taaki hum “antim din mein [Uske] saamne bedaag rahe.”29
Prabhu bhoj ka niyam pavitra hai aur sahi tarike se paschaataap ko dobara karne ki nimantran deta hai aur dhaarmikta se dobara naya hota hai. Prabhu bhoj ko lene ki kaarye, mein aur ussi se, paap nahi mittha hai. Parantu jab hum humesha taeyari kartein aur bhaag letein hain is pavitra niyam mein tute hue hriday aur sachche aatma ke saayh, tab yah vaada hai ki humare saath humesha Prabhu ki Aatma saath rahega. Aur Pavitra Aatma ke saaf karne ki Shakti se jo humare humesha ki saathi hai, hum humesha apne paapon se chama prapt kar saktein hain.
Hum har safta apne aap ko prabhu bhoj ke dwara upar utane ki aosar, humare vaadon ko doharane, aur is vaada bhare niyam ko prapti ke ashirwaad ko prapt kartein hain.30
Dobara Baptisma Liya
Kabhikabhi Antim-din Santon yah ikcha zaahir kartein hain ki weh dobara baptisma ko le sakein-aur ussi tarah shudh aur laayak ho saktein jaesa ki pahale samay par susamachaar siddhaant ko bachne ke liye prapt kiya tha. Mao yah iszzat ke saath batlata hoon ki humare Swarg ke Pita aur Uske Priye Putra nahi chahatein ki hume kabhi dobara dhaarmik ahesaas ko anubhao karna pade, humare jiwan mein ek hi baar badlaao, aur punarsthaapna ho. Humare paapon se humesha mukhti kop rapt karne ki ashirwaad ke dwara susamachaar ke siddaanton ki madad se hum samjhtein hain ki humare maranshil jiwan ke safar mein ek modh hai; yah wah manzil nahi hai jise hume baar baar jana chahiye.
Baptism ke siddhaanton ko, sir par haaton ko rakh kar Pavitra Aatma ke uphaar ke saath diya jaata hai, aur prabhu bhoj akele aur alag se nahi hota hai, chahe, wah koi bhi bachaane waale kaarye ke lakhsye se juda aur mauson ke dauraan mein ho. Har ek safalta ke kaarye humare dhaarmik kaarye, ikcha, aur kaam ko banata aur badhata hai. Pita ka yojna, Uddhaarkarta ki Balidaan, aur susamachaar ke siddhaanton ke dwara hume zaroori hai mahima ko prapt karne ke liye asafalt aura age badhane mein ek ke baad ek aur humesha hi anant manzil ki oar badhane mein.
Vaada aur Gawaahi
Hum insaan maranshilta ko jeene ke liye bilkul sahi nahi hai Swargy Pita ke anant badhanti ke sahi yojna ke anusaar. Uske yojna ke zarooraton mein mahaanta, dayaluta, aur musibaton mein. Kabhikabhi hume Shakti prapt hota hai aur dosre samay par puri kami mahesoos kartein hain.yah sochenge ki kya hum kabhi puri tarah se vaade ko nibha sakenge antim din par Uske saamne bedaag khade rahane ke liye.
Prabhu ki madad se aur Uske Aatma ki Shakti ke dwara “[hum] sabhi cheezon ko sikhtein hein”31 sahi mein hum humare dhaarmik chamtaaoun ko jaane ki ashirwaad ko prapt kar saktein hain. Humare jiwan mein siddhaanton mein dhaarmik kaarye aur Shakti ko amantirith kiya jata hai jab hum dobara jaagrith hone ki koshish kartein hain ki Udhaarkarta ke aadmi aur aurat bane sake.32 Humare pabandi dur ho saktein hain.
Bhale hi hum mein se koi bhi is jiwan mein bilkul sahi nahi ho sakta hai, hum ziyada laayak aur bedaag raha saktein hain jab hum “Mimna ke khoon se saafhotein hain.”33 Main vaada karta aur gawahi deta hoon ki hume Uddhaarkarta mein ziyada vishwaas ka ashirwaad prapt hoga aur ziyada dhaarmik aaswaasan jab hum humesha apne paapon ki praeshchit kartein hain, ant mein Prabhu ke saamne bedaag khade rahane ke liye. Main yah Ishu Masih ke pavitra naam se gawahi deta hoon, amen.