Bachaane ke liye: Hum Kar Sakte Hai
Prabhu ne sab saadhan ko tayyaar kiya jo hamare liye zaroorat tha kam sakriye sadasye ko aur dosto jo sadasye nahin ko bachaane ke liye.
Uddhaarkarta Apni mission ko sapsht rup se samajhte the ki hamare Swarg ke Pita ke bache ko bachana hai, kyonki unhonne elaan kiya:
“Kyunki manushye ka Putr khoye huyon ko bachane aayaa hai. …
“[Ki] aisa hi tumhare Pita ki jo swarg mein hai ichcha nahi ki in mein seek bhi nasht ho.”1
Meri pyaari maa, Jasmine Bennion Arnold, achchi tarah apni kartavye ko samajhti thi ki Swarg ke Pita ke bacho ki apmaanit ya khoya hua bhedo ko bacha sakein, apni khudh ke bache ko aur naati poti ko bhi. Kitna shaandar kartavye hai jo nani-nana apne naati-poti ke jeevan mein karte hai.
Maa ki niyukti daure waale sikhsan ke liye unke saath hotha tha jo vishwaas me kathinayi paa rahi thi, kam sakriye sadasye aur aadhe-sadasye vale parivaar; magar unka lacche me kai aur the jinhe unko niyukti nahi mili thi. Aksar, unki bhent sirf mahine mein ek bar nahi thi, jabki weh dhirta se beemaron ka dekh- rekh karti thi, dheerta se sunnti thi, aur pyaari protsahan deti thi. Maa ke jeevan ke antim mahino mein, woh ghar par hi rahi, isliye usne samay bitaye unhe chithi likhne mein, apne pyaar aur gawahi ko batlati hui, aur unhe protsaahan dete jo atithi use milne aate the.
Jab hum bachaane ke liye jaate hai, Parmeshwar humko shakti,protsahan, aur ashirvaad deta hai. Jab Woh Moses ko aagya karta hai ki Israel ke bacho ko bachaye, Moses dar gaye, jaise ki hum mein se kai darte hai. Moses ne bahana ki, kehte hue, “Main bolne mein nipun nahi, na to pahele tha, … main to muh aur jeeb ka bhandha hu.”2
Prabhu ne Moses ko ashvaast kiya:
“Manushye ka mukh kisne banayaa hai? …Mujh Prabhu ko chor kaun banataa hai?
“Ab ja, Main tere muh ke sang hokar jo tujhe kehna hoga wa tujhe sikhlataa jauga.”3
Khaas taur par, Prabhu ne Mose se bataya, “Aap kar sakte hai!” Aur aap jaante, ki hum bhi kar sakte hai!
Main chaar siddhant ko batlana chahata hoon jo hamare bachaane ki koshish mein sahayeta dega.
Siddhant 1: Humko Bachaane ke liye Der na Ho
Elder Alejandro Patania, ek pichle Chetra Adhikaari Sattar, ne apna chota bhaai, Daniel ki kahani ko batlaya, jo apne saathiyon ke saath samundar ki yaatra karne gaya maachli pakarne ke liye.Ek samay ke baad, Daniel ko ek turant chetaoni mila ki ek mukhye tufan aa raha tha. Turant hi, Daniel aur unke saathiyon port ke liye nikal pade.
Jab tufan teevra tha, ek bagal wale naav ki injin rukh gayi. Daniel ki saathiyon ne ek kaebal ko bigra hua naav par hukdaar kiya aur suraksha ke liye rassa kiya. Unhonne madad ke liye redio kiya, jaante hue ki, tufan ki badhanti se, unhe turant hi madad ki zaroorat thi.
Jab priyejan vyakulta intazaar kar rahe the, tatrakhshak ke pratinidav, maachliwaala ke saathi, aur navy, ikatha hue bachane ka sabse accha tareeka nirnay karne ke liye. Kai turant hi jaana chahate the magar batlaye gaye ki ek yojna ke liye rukhna tha. Jab weh log jo tufan mein tha madad ke liye hetuvad ki, pratinidav nirantar bhent ki, ek yojna aur achchi tarike ki protokol ke liye ko swikaar karne mein.
Jab ek bachaanewaala dal ki sangathit hua, ek akhri nivedan aaye. Teevra tufan ne do naav ki kaebal ko aarthik rup se nasht kar diya, aur Daniel ki saathiyon waapas laute dekhne ke liye ki kya weh apne saathiyon ko baccha sakkte hain. Ant mein, donon naav dube, aur unki chaalak dal ke sadasye, jismein Elder Patanía’s ke bhaai tha, kho gaye the.
Elder Patanía ne is dhukand naatak ko Prabhu ki chetaoni se samaanata dikhayi jab Unhonne kaha: “Tu[ne] baalwaan na kiya, …[ya]niklai hui ko lauta laao, …[ya] khoyi hui ko khoja; … aur Main unse [tumhari] bhed-bakriyon ka lekha luga.”4
Elder Patanía ne yeh samjhaya ki, jaise hum vichaarsabha, sabha, sahayak mein, aur alag alag ayojit hote hai, humko bachaane ke liye der nahi karni chahiye. Kabhikabhi kai hafte guzar jaate hai jab hum un parivaaron ya ek vyakti ke bare mein baate karte hai ki kaise madad karein jinhe khaas taur ki zaroorat hai. Hum soch –vichaar se kaun unko atithi karega aur kaise charcha karega. Itne mein, hamare bhaaiyon aur bahanon nirantar madad ke liye bulate hai. Humko der nahi karni chahiye.
Siddhant 2: Humko Harna Nahi Chahiye
Pradhaan Monson, ne bachaane ke liye ek safed praktit nirdesh ki, kehte hai, “Hamari sadasyon ko yaad dilaana chahiye ki kabhi bahut jald aur kabhi bahut der nahi hota jab ki hamare … kam sakriye sadasye … jinko maana hua nikamma pahuchte hai.”5
Jaise aap mein se kai, maine kuch ayse logon se susamachaar ko baata hai jo haal hi mein baptisma liye ya sakriye huwe the, aur dusro ko—jaise ki mera gaersadasye dost Tim aur uski kam sakriye patni, Charlene—ne aur samay liya hai.
25 saalon ke upar se mainne Tim ke saath susamachaar ki baatchit kiya tha aur Tim aur Charlene ko mandir ki khula ghar par le gaya tha. Aur kai bachaane par yukt hua, par Tim ne jo prachaarak se milne ki nimantran hui ko inkaar kiya.
Ek saptah ka aant mein mujhe ek stake sammelan mein adhaykshta karna tha. Mainne stake pradhaan se batlaya ki humko prarthna aur upwaas karna hai un logo ke liye jo hum atithi karenge. Main sthanbhit ho gaya jab usne mere dost ke naam ko mujhe diya. Jab Tim ke bishop, stake pradhaan, aur main darwaaze par kat-kathaya, Tim ne khola, mujhe dekha, bishop ko dekha, aur kaha, “Bishop, mainne socha ki aap ne kaha ki aap ek khaas vyakti laaege!”
Phir Tim ne hassa aur kaha, “Andar aaiye, Merv.” Ek chamatkaar hua us din. Tim ki baptisma hua tha, aur woh aur Charlene mandir mein badhna hua tha. Humko harna nahi hona chahiye.
Siddhant 3: Aap Ki Khushi Kitni Hogi Agar Aap Ek Bhi Aatma ko Maseeh ke Paas le Aaye
Kai saalon pehle ek maha sammelan mein, maine batlaya tha kaise José de Souza Marques ne Uddhaarkarta ke shabdon ko samjha tha ki “agar tumhare beech koi hai jo Aatma mein mazboot hai, woh apne saath use le jaaye jo kamzor hai, ki woh … mazboot ho sakein.”6
Bhaai Marques apne priest ke parishad ke har ek bhed ka naam jaanta tha aur usne paaya ki Fernando gaayab tha. Usne Fernando ke ghar par unki talash ki, phir dosto ke ghar par, aur bhi bij mein.
Ant mein usne Fernando ko samundar sarfing karne mein paya tha. Usne nahi der kiya jabtak naav dub gaye, jaise ki Daniel ke kahani mein. Usne turant paani mein gaye apn ekhoya hua bhedo ko bacha sakein, usko khushiyali se ghar le aaye. 7
Usne phir se khyaal kiya ki nirantar dekh-rekh se woh Fernando kabhi nahi bhed ko chodega.8
Mujhe ijazat de ki main aapko Fernando ke bare mein batlau jo hua tha ussi din se jab unko bachaya gaya tha aur us khushi ko baatlau jisse ek khoya hua bhedo ko bachaane mein. Fernando apni premika, Maria, se vivah ki, mandir mein. Ab unke paas 5 bachche hai aur 13 naati-poti, jo sab Girjaghar mein sakriye hai. Kai aur rishtedaaro aur parivaaron ne Girjaghar bhi yukt kiya. Saath mein unhonne hazaro apne pitar ki naam ko mandir ki dharam vidhi ki, aur aisa bhi ki ashirvaad aate hai.
Fernando ab teen baar bishop ki sewa kar raha hai, aur woh ab bhi bacha raha hai, jaise use bachaya gaya tha. Usne haal hi kaha tha, “Hamare ward mein, 32 sakriye Aaronic Purohiti ke jawaan purush hai, 21 jo pichle 18 mahino mein bachaya gaya hai.” Ek vyakti, parivaar, parishadon, adhyakshta, kaksha, aur gharelu shikshan se, hum aisa kar sakte hain!
Siddhaant 4: Chahe Humari Umar Jo Bhi Ho, Hume Bulaya Gaya hai Bachane ke liye
Pradhaan Henry B.Eyring ne ghoshit ki: “ Chahe humari umar jo bhi ho, hamari chamta, Girjaghar ki niyukti, ya kahi bhi hum rahe, hum sab ko kaarye mein niyukti karne [Uddharkarta ko]mein Unki madad karein har ek aatma ko bachaye jab tak Woh phir se laut aaye.”9
Har roz humare aur zyada bacche, hamare yuva, hamare jawaan aaviwaahit baalig, aur umara ke baalig Uddhaarkarta ke samavahn ko sunte hai bachane ke liye: Tumhare koshish ke liye dhanyevaad! Main kai uddharan ko batlana chahata hoon:
Amy, 7 saal ki, apni dosti Arianna aur unke parivaar ko unki Praathmik prabhubhoj ki sabha mein amanthrith kiya. Kai mahino baad, Arianna aur uske parivaar ki baptisma hui.
Allan, ek jawaan aviwaahit baalig, ko prerna hua tha ki Girjaghar ki vidio, Mormon Messages, aur dharamshaastra mein se verse ko baanta apne doston se social media ko istemaal karke.
Bahan Reeves ne har ek telemarketer se susmachaar baatna shuru kiya jab weh phone karte the.
James ne apni bina sadasyon dost Shane ko uski beti ki baptisma ke liye amanthrith kiya .
Spencer ne apni kam sakriya bahan ko Pradhaan Russell M.Nelson ki sammelan bhashan ka link ko bheja jo likha gaya hai, “Usne sandesh ko padha aur waha par umeed hai.
Prabhu ne sab saadhan ko tayyaar kiya jo hamare liye zaroorat tha kam sakriye sadasye ko aur dosto jo sadasye nahin ko bachaane ke liye. Hum sab yeh kar sakte hai!
Main aap sabh ko aamantrit karta hoon ki Uddharkarta ke bulawe par amal kare. Hum kar sakte hai!
Main aupchaarik taur se gawahi deta hoon ki Ishu hi Achcha Charvaaha hai, ki Woh humse prem karta hai, aur ki Woh hamein ashish dega jab hum bachaao karenge. Main jaanta hoon ki Woh jiwit hai; Yah main janta hoon. Ishu Maseeh ke naam se, amen.