Girjaghar ke Netaaon ke Saath Khade Rehna
Kya tum Girjaghar netaaon ke saath khade ho ek andhkaar hoti duniya mein taaki tum Maseeh ki Raushni ko faela sako?
Hum haardik swaagat karte hai naye Maha Adhikaariyon, Chetriye Sattaron, aur nirale naye Praathmik maha adhyakshta ko. Aur gehri prashansa se, hum unhe dhanyevaad dete hai jo mukt huwe hai. Hum aap sab, se prem karte hai.
Mere priye bhaaiyo aur bahano, humne abhi abhi ek bahut ashish bhare ghatna mein bhaag liya jab humne bhavishyevaktaaon, paegambaron, aur praktikartaaon aur anye netaaon aur afsaron ko haath utha kar aaj ke dinon mein niyukt hone ki swikriti di. Maine swikriti dene aur Prabhu ke sewak ka salaah lene ke maoke ko kabhi maamuli nahin samjha. Aur jabki mujhe Barah Devduton ke Parishad ki sadasyata mein kuch hi mahine huwe hai, mai vinamra hua aap ke swikriti ke math aur bharosa se. Mai aapke ichcha ko anmol maanta hoon ki aap mere aur anye mahaan netaaon ke saath khade rehna chahate hai.
Pichle October meri swikriti ke turant baad, mujhe Pakistan jaana hua aur, wahan, mai us desh ke pratapi aur wafadaar Santon se mila. Woh sankhya mein kam hai par bahut dhaarmik hai. Waapas aane ke thode din baad, maine Bhaai Shakeel Arshad, jinse mai apne yaatra ke samay mila tha, ne yeh patra likha: “Dhanyevaad, Elder Rasband, Pakistan aane ke liye. Mai aapko batana chahata hoon ki hum … Girjaghar ke sadasye … aapko swikriti dete aur prem karte hai. [Hum] bhaagyeshaali hai ki aap yahan the aur humne aapse suna. Mere parivaar ke jiwan mein Devdut se milna ek sunhera din tha.” 1
Bhaai Arshad jaise Santon ko milna ek badhiya aur vinamra karne waala anubhav tha aur, uske shabdon mein, “sunehra din tha” mere liye bhi.
January mein, Girjaghar ke netaaon ne ek Face to Face prasaaran mein bhaag liya duniya bhar ke yuva aur unke netaaon aur maata/pitaaon ke saath. Yeh prasaaran laaiv dekhi gayi thi 146 deshon mein Internet ke dwara; kuch jagahon ke chapels kaafi bhare the, aur anye mein ek ghar se ek akela yuva the. Kul milakar, hazaaro yuva shaamil the ismein.
Hamare bhaari sankhya ke yuva ke sawaalo ke jawaab dene ke liye, Bahan Bonnie Oscarson, Jawaan Mahilaaon ki maha adhyaksh, Bhaai Stephen W. Owen. Jawaan Purshon ke maha adhyaksh; aur mai—hamare yuva aayojan kartaaon, sangeetkaar, aur anye log—ke saath jude the.
Hamara lakshye tha 2016 ka Mutual theme ko pesh karna, “Maseeh mein Dridh Vishwaas Karte Huwe Aage Badhte Raho,” jo 2 Nephi se liya gaya, jo kehta hai: “Isliye, tum Maseeh mein dridh se vishwaas karte huwe, aasha ki paripurn chamak, aur Parmeshwar aur sabhi se prem karte huwe, hamesha aage badhte chalo. Isliye, yadi tum, Maseeh ki vaani ka pyaala peete huwe, aur ant tak dhiraj dharte huwe, aage badhte rahoge, suno, Pita is prakaar kehta hai: anant jiwan milega.” 2
Hamare kayi sao yuvaaon ke sawaalo ko padh ke, humne kya seekha? Humne seekha ki hamare yuva Prabhu se prem karte, apne netaaon ko swikriti dete hai, aur ichcha karte hai ki unke sawaalo ke jawaab mile! Sawaal yeh dikhlaate hai ki unmein aur ichcha hai seekhne ki, jo sachchaao pehle se hamare gawahi mein hai ko badhane ki, aur achchi tarah se tayyaar rahe “Maseeh mein dridh vishwaas karte huwe aage badhte rehne” ke liye.
Susamachaar ka Punahsthaapna ek yuva, Joseph Smith, se shuru hua tha jiske paas ek sawaal tha. Uddhaarkarta ke prachaar ke kayi sikhshan ek sawaal se shuru huwe the. Peter se yeh sawaal yaad rakho: “Parantu tum Mujhe kya kehte ho?” 3 Aur Peter ka jawaab tha: “Tu jiwit Parmeshwar ka Putra, Maseeh hai.” 4 Hamein ek duje ki madad karni chahiye Swarg ke Pita ke jawaab paane mein Aatma ke maargdarshan zariye.
Prasaaran ke daoraan, maine yuvaaon se kaha:
“Is Girjaghar ke netaaon ke liye tumhare vishay, chintaaen, aur tumhare chunaotiyaan naye nahin hai.
Hamare paas bachche hai. Hamare paas naati pote hai. Hum aksar duniya bhar ke yuva ke saath sabha karte hai. Aur hum aapke liye prarthna karte hai, hum sabse pavitra jagho par aapki charcha karte hai, aur hum aapse prem karte hai.”5
Us sabha se mile kayi jawaabo mein se ek jawaab mai aapse baatna chahata hoon.
Lisa, jo Grande Prairie, Alberta, Canada ki hai, ne likha: “Yeh Face to Face sabha laajawaab tha. Itna shakti mila mere gawahi ko aur susamachaar ki dhaarnaaon mein. Itni ashish hai hum par ki hamein prerit netaaen mile hai kayi alag alag niyikti mein.”6
Liz, jo Pleasant Grove, Utah ki hai, ne ek pehle post par likha tha: “Mai abhaari hoon apne niji vishwaas aur Parmeshwar ke bhavishyevakta aur unke saath jo purush aur mahilaaen sewa karte hai ko swikriti dene ke mauke ke liye.”7
Humne un netaaon ko swikriti di hai aaj jinhe, divye prerna ke zariye, hamein sikhlane aur maarg dikhlaane ke liye niyukt kiya gaya hai aur jo hamein chetaoni de rahe hai un khatro ke baare mein jiska saamna hum har din karte hai—samaanye Prabhubhoj-din vaytit karne se lekar, parivaar par musibat, dhaarmik aazaadi par akraman, aur antim-din praktikaran ko thukraane tak. Bhaaiyo aur bahano, kya hum unke salaah ko sunn rahe hai?
Kayi baar sammelan, prabhubhoj sabhaaon, aur Praathmik mein humne yeh nirbal shabd ko gaaye honge, “Lead me, guide me, walk beside me.” 8 In shabdon ka tumhare liye kya arth hai? Kaun yaad aata hai jab tum unke baare mein sochte ho? Kya tumne sachche netaaon ke prabhaao ko mehsoos kiya hai, Ishu Maseeh ke woh chelein jinhonne pehle kabhi aur aaj bhi tumhare jiwan ko prabhaawit kiya hai, jo tumhare saath Prabhu ke maarg par hai? Woh shaayad tumhare kareeb tumhare ghar mein ho. Woh shaayad tumhare sthaaniye sabhaaon mein ya maha sammelan mein manch par se bol rahe ho. Yeh chelein hamare tarah Prabhu Ishu Maseeh ke gawahi ke ashirvaad ke rakhne ke ashirvaad ko baatte hai, jo Girjaghar ka neta hai, hamare hriday ka neta, jisne vaada kiya hai, “Achche iraade ke raho, aur daro mat, kyunki mai Prabhu tumhare saath hoon, aur tumhare saath khada rahunga.” 9
Mujhe yaad hai Pradhaan Thomas S. Monson ne apne stake adhyaksh Paul C. Child ke ghar mein amantran paane ki kaha batlaai thi taaki woh apne Melchizedek Purohiti mein advance hone ki tayyaari kar sake. Kitna khaas ashirvaad tha us stake adhyaksh ka, jo nahin jaanta tha us samay ki woh ek ayse Aaronic Purohiti ko sikhla raha hai jo ek din Parmeshwar ka bhavishyevakta banega.10
Maine bhi kaafi kuch seekha hai apne priye bhavishyevakta, Pradhaan Monson se. Mere mann ya hriday mein koi shanka nahi ki woh Prabhu ka bhavishyevakta hai dharti par; maine unke paaye praktikaran ko suna hai aur uspar amal kiya hai. Woh hamein sikhlata aa raha hai ek dusre ko madad kare, raksha kare, aur bachaye. Yeh sikhlaya gaya tha Mormon ke Jal mein. Jo “ichcha karte … uske log kehlaane ki” chahate the “ek dusre ke bojh uthane mein madad karne ki,” “dukhiyo ke dukh se hona,” aur “Parmeshwar ke gawaah ke rup mein khade rehna.” 11
Mai aaj Parmeshwar jo Anant Pita hai aur Unke Putra, Ishu Maseeh ka gawaah banke khada hoon. Mai jaanta hoon hamara Uddhaarkarta jiwit hai aur humse prem karta aur Apne sewako ko raah dikhata hai, yaane ki tum aur mai, taaki hum Unke shaktishaali lakshye ko is dharti par pura kar sake. 12
Jab hum dridhta se aage badhenge, apne netaaon ke salaah aur chetaaoniyon ko chunte huwe, hum Prabhu ke piche hone ko chunenge jabki duniya dusri disha jaa raha hai. Hum lohe ke chad ko kas ke pakdenge, Antim-din Sant banenge, Prabhu ke kaam mein lage huwe, aur “mahaan anand se”13 bhar jaaenge.
Aaj ka ubhadta hua sawaal spasht hai: kya tum Girjaghar netaaon ke saath khade ho ek andhkaar hoti suniya mein taaki tum Maseeh ki Raushni ko faela sako?
Netaaon ke saath rishta itna mahatvapurn aur avashyak hai. Chaahe neta jo bhi umra ke ho, kitna bhi nazdeek ya dur ho, ya kab unse hum prabhaawit huwe the, unka prabhaao American kavi Edwin Markham ke shabdon ko yaad dilata hai, jisne yeh kaha:
Wahan ek naseeb hai jo hamein bhaai banata hai:
[Koi bhi] apna raasta akele nahin chalta:
Jo kuch bhi hum auron ke jiwan mein bhejte hai
Waapas hamare jiwan mein aata hai. 14
Shakeel Arshad, mera Pakistani dost, ne mujhe sahara diya, uska bhaai aur dost. Usi tarah aap sab ne bhi. Jab hum ek dusre ki sahayta ke liye aage badhte hai, hum is shaktishaali shabdon ko sach karte hai: “[Koi bhi] apna raasta akele nahin chalta.”
Sabse zyaada, hamein apne Prabhu, hamare Uddhaarkarta, Ishu Maseeh ki zaroorat hai. Mujhe hamesha aatmik shakti milti hai Ishu Maseeh ke us kahani se jab woh Galilee ke Samudra mein Apne chelon se milne paani par chalte gaya tha. Woh bhi naye niyukti paaye netaa the, manch par baethe hum mein se kuch ki tarah. Matthew mein likha hai:
“Us samay naav samudra ke beech [woh]laharo se dagmaga rahi thi, kyonki hawa saamne ki thi.
“Aur wah raath ke chauthe pahar samudra par chalte hue un ke paas aya.
“Chele usko samudra par chalte hue dekh kar ghabra gaye, … aur dar ke maare chilla uthe.
“Ishu ne turanth unse baate ki, aur kaha, dhadas bandhi mai hoon, daro math.” 15
Peter ne Prabhu ke us niraale protsaahan bhare pukaar ko suna tha.
“Patras ne us ko uttar diya, hey Prabhu yadi tu hi hai, tho mujhe apne paas paani par chal kar aane ki aagya de.
“Aur [Ishu} ne kaha, Aa.” 16
Kitna nidarta. Peter ek machwara tha, aur woh samudri khatro ke baare mein jaanta tha. Phir bhi, woh Ishu ki aagya maanne chala gaya—raat ya din, naao par ya jhure zameen par.
Mai kalpana kar sakta hoon ki Peter naao se uchla hoga, ek dusri nimantran ka intazaar na karte huwe, aur paani par chalne laga hoga. Vaastav mein, dharamshaastra kehta hai, “Woh paani par chal kar, Ishu ke paas gaya.” 17 Jab hawa ki taaqat aur tezi badhi aur halkore uske mujhe bacha.
“Ishu ne turant haath badhaya, aur use thaam liya.” 18
Kitna shaktishaali paath. Prabhu uske liye wahan tha, jaise ki Woh tumhare aur mere liye hai. Usne haath badhaya aur Peter ko nikala aur surakshit rakha.
Maine Uddhaarkarta ko chaha aur Unke bachane waale haath ko kayi baar paaya hai. Mai ab use pehle se bhi zyaada chahata hoon, jis tarah tum chahate ho. Mujhe saahas mehsoos hua hai kabhi kabhi naao se uchalne mein, yaane ki, agyaat jaghon par, sirf yeh jaanne ke liye ki mai akele nahin kar sakunga.
Jaise humne Face to Face ke daoraan kaha tha, Prabhu aksar hamare parivaar aur netaaon ke zariye hum tak pahunchta hai, hamein Untak aane ka nimantran deta hai—jaisa ki Woh Peter ko bachana aage badha tha.
Tumhe bhi kayi chan milenge lagataar nimantran par amal karne ke liye “Maseeh ke paas aao.” 19 Kya maransheel jiwan isi ke baare mein nahin? Pukaar yeh ho sakta hai ek parivaar sadasye ko bachaao; aao mission sewa karo; girjaghar laot aao; pavitra mandir aao; aur, jaisa humne haal hi mein apne laajawaab yuva se Face to Face sabha mein suna hai, aao, kripya mere sawaal ka jawaab dene mein madad karo. Samay aane par, hum sab yeh pukaar sunenge “Ghar aao.”
Mai prarthna karta hoon ki hum aage badhenge—aur Uddhaarkarta ka haath pakdenge jo Woh hamein de raha hai, aksar Unke divye rup se niyukt netaaon aur hamare parivaar ke sadasyon ke dwara—aur Unke bulaane ki pukaar ko sunenge.
Mai jaanta hoon ki Maseeh jiwit hai; mai Unse prem karta hoon, aur mai apne pure hriday se jaanta hoon ki Woh hum sab se prem karta hai. Woh hamara mahaan Uddharak aur dicye neta hai hamare Pita ke bachchon ka. Iski mai pavitra gawahi deta hoon Ishu Maseeh ke naam se, amen.