2010-2019
Punaharsthaapna ka Pavitra Sthaan
April 2016


10:3

Punaharsthaapna ka Pavitra Sthaan

Palmyra Punharsthapna ka manch tha, jaha Pitah ki awaaz lagbhag do hazaar saal baad suani deti.

Mera ek achcha mitra jo ek Girjaghar ka sadesye tha, kai saalon tak koshish kiya, mujhe anant parivaaron ke bare mein susamachaar ko sikhlane ka. Parantu yah nahi hua jabtak ki São Paulo Mandir ke khulne par 1978 Octobar mein nahi bhent kiya, jaese hi main bandhane waale kamre mein daakhil hua, mere hriday mein parivaaron ke anant siddhaant ah gaye, aur kai dinon tak prarthna kiya yah jane ke liye ki kya yah sachcha Girjaghar tha.

Mai dhaarmik nahi tha parantu un maata-pita ke parvarish se bada hua tha jinhone dusre dharamo kya accha hai dekha tha. Mere jiwan ke us samay par, maine socha ki sabhi dharam Parmeshwar ko swikaar hai.

Mere mandir ke khulne ke bhent ke baad, mujhe prarthna ke dwara jawaab mila, vishwaas aur pure aaswaasan ke saat ki Parmeshwar mujhe jawaab dega, ki is dharti par Unka Girja kaun sa hai.

Ek mahaan dhaarmik kosish ke baad, mujhe ek saaf jawaab prapt hua. Mujhe baptisma ke liye amantirith kiya gaya, jo 1978, Octobar 31 ko ant mein hua tha, São Paulo Mandir ke punaharsthaapna se ek din pahale ki raat ko.

Maine jaana ki Prabhu mujhe jaanta tha aur meri itni parwah karta tha ki mere prarthna ka jawaab diya.

Dusre subeh meri patni aur main São Paulo mandir ke punaharsthaapna ke sabha ko bhent karne gaye.

Hum waha par the, parantu pata nahi tha ki kis tarah us aschariye aosar ka abhi bhi abhaar mane. Us ke dusre din humne Kendra sammelan mein bhent kiya.

Humne apna jiwan Girjaghar ke sadesye ki tarah shuruwaat kiya, aur humne achche mitra paye jnhone humare jiwan ke badlaao ko swikaar kiya.

Humare Raviwaar shabhaoun ke naye sadesye kaksha mein har safta anewaale aschariye tha. Unhone hume gyaan diya aur hume aanewaale safta ko haali guzarne ki ikcha diya taaki Raviwaar ko hum aur ziyada dhaarmik poshan kop rapt karein.

Meri patni aur main apne parivaar ko anant tak mandir mein ja kar bandhane ke liye utsuk the. Wah mere baptisma k eek saal aur saath dinon ke baad hua, jo ek sundar samay tha. Maine mahesoos kiya ki anant ka mul badal gaye the altar par bandhane se jo pahale aur baad mein aye ke beech.

Kuch saalon tak United States ke Purabi Samundari mein kanooni taur par rahane se, main Sharon ko achie tarah se jaan gaya tha, aur weh khaaskar chote the.

Humesha jab main Pratham Drishye ke zaroori kaarye ko padhata ya sunnta, ek bhaari dal ke log shaamil hotey, aur yah mujhe koi matlab ka nahi lagta.

Mujhe swaal aane shuru hue. Koi Girjaghar United States mein punaharsthaapit hua aur naaki Brazil ya Italy mein, mere purwajon ke zameen mein?

Weh batlaye hue bheed ke log kaha the, jo ek samay dobara dhaarmik cheezon mein shaamil hona chahtey the aur dharam ke galti mein— sabhi kuch shaanti se aur shaant sthaan par ho raha tha?

Maine kai logon se us ke bare mein pucha parantu koi bhi jawaab nahi mila. Maine sabhi kuch Portuguese mein padha aur phir Angrezi mein parantu kuch bhi nahi paya jisse mera hriday shaant ho. Parantu main dhoondhata raha.

1984 Octobar mein, main maha sammelan ke ek stake pradhaan ke ek salaahaakar ki tarah bhent kiya. Uske baad, main Palmyra gaya, utsuk tha jawaab pane ke liye.

Waha pahuchtey hi, maine samajhne ki kosish kiya: Koi Punaharsthaapna yaha par hua, aur kyo is tarah ka dhaarmik ashaanti? Kaha se weh sabhi log aye the jo Joseph ke kahani mein the? Waha kio?

Us samay, sabse achcha jawaab mere liye tha ki U.S. Constitution ne sach mein azaadi ki ayelaan kiya tha.

Us subha maine apna safar Grandin Imaarat ko bhent karne se shuruwaat kiya, jaha Mormon ki Dharamshaastra chapa tha. Main Pavitra Sthaan par gaya, jaha maine bahot prarthna kiya.

Waha us Palmyra ke chote shar ke galion mein koi bhi nahi dikhaai de raha tha. Kaha par Joseph ke batlaye hue log the?

Us sundar shaam ko maine Peter Whitmer ke khet jaane ka faesla kiya, aur jab main waha pahuncha maine ek aadmi ko kamre ke khidki par paya. Uske ankhon mein shaktishaaly chamak thi. Main use mila aur phir wahi sabhi swaalon ko puchna shuru kira.

Phir usne mujhse pucha, “Kya tumhare paas samay hai?” Maine ha kaha.

Usne samajhaya ki Lakes Erie aur Ontario aur, aage niche, Hudson Nadi us nagar mein shaamil the.

1800 ke shuruwaat ke samay unhone maarg dikhlane ke liye ek raasta banane ka faesla kiya jo us sthaan se guzarta, 300 (483 km) milon se ziyada lambie Hudson Nadi tak pahunchne ke liye. Wah us samay ke liye ek mahaan kaarye tha, aur weh insaan ke kaarye aur jaanwar ke Shakti par hi nirbhar the.

Palmyra kuch imaaraton ke liye Kendra tha. Unhein guni logon, tecnishanon,parivaaron, aur unke mitron ki zaroorat thi. Kai log sabhi padosi shaharon, dur ke sthaanon, se waha raastey par kaam karne ke liye aane lage.

Wah ek pavitra aur dhaarmik samay tha kyuki maine aakhri mein bheed ko dhoondh liya tha. Weh apne parampara aur vishwaas lekar aye. Jab usne apne vishwaas ko batlaya, mere mann mein gyaan aya aur Parmeshwar ke dwara mere dhaarmik ankhein khul gaya.

Us samay par, main samajh gaya tha ki kis tarah humare Pita Parmeshwar ke haat tha, Uske mahaan gyaan mein, Apne yojna mein jawaan Joseph Smith ko taeyaar kiya tha, usko dharam sangat ke beech rakhtey hue, kyuki waha, Cumorah mein, Mormon ki Dharamshaastra ke anmol paletein chupi hui thi.

Yah Punaharsthaapna ka sthaan tha jaha Pita ki awaaz sunna jayega lagbhag do hazaaron saalon baad, ek sundar sapne mein, Ladke Joseph Smith se baatein kartey, jab wah Pavitra Sthaan par prarthna karne gaya tha aur sunna: “Yah Mere Priye Putra Hai. Usko Sunno!”1

Waha usne do logon ko dekha, jiske roshni aur mahima tasveer mein puri tarah se dikh raha tha. Ha, Parmeshwar ne dobara Apneaap ko manushye ko dikhlaya. Andhera jo dharti par Chaya tha dur hona shuru hua.

Punaharsthaapa ke bhavishyevaani pura hone ki shuruwaat hua. “Phir maine ek aur swargdut ko aakaash ke beech mein udhatey hue dekha jiske paas prithi par ke rahanne waalon ki har ek jaati, aur kul, aur bhaasha, aur logon ko sunane ke liye sanaatan susamacaar tha.”2

Kuch hi saalon mein Joseph bhavishyevaani, vaadon, aur siddhaanton ke lekh tak pahuch gaya purane bhavisyevaktaaoun ke chode hue, humare pyare Mormon ki Dharamshaastra tak.

Ishu Maseeh ka Girjaghar punaharsthaapit nahi ho sakta tha bina anant susamachaar ke jo Mormon ki Dharamshaastra mein likha tha Ishu Maseeh ki dusri gawahi ki tarah, aur Parmeshwar ka Putra bhi, Parmeshwar ka mimna, jisne duniya ki paapon ko liya tha.

Maseeh ne Jerusalem mein Apne logon se kaha:

“Aur mere paas aur bhedein hain, jo is bhedhshaala ka nahi.” 3

“Achcha charwah main hoon, jis tarah pita mujhe jaanta hai, aur main pita ko jaanta hoon.”4

Jab Whitmer Khet ko chodh raha tha, mujhe alvida kahana yaad nahi hai. Mujhe sirf yaad hai mere chahare par aansoo bahatey hue. Suraj sundar baadal mein dub raha tha.

Mere hriday mein bahot khushi aur shaanti ne mere aatma ko shaant kiya. Main abhaar se bhar gaya.

Main ab saaf taur se samajh gaya tha kio. Ek baar phir Prabhu ne mujhe gyaan aur roshni diya tha.

Ghar safar kartey samay, siddhaantein mere man mein ubhar rahe the: Pita Abraham se kiye hue vaadein jo dharti par uske khaandaan mein tha ko ashirwaad milta.5

Aur is ke liye, mandiron ko banaya jaega taaki ek baar phir dharti par manushye ko diviye Shakti prapt hoga taaki parivaarein ek saat hogi, jabtak ki maut nahi dur karega parantu pure anant tak ke liye.

“ Ant ke dinon mein ayesa hoga, ki Prabhu ke bhawan ka parwat sab pahaadon par banaya jayega, aur sab pahaadon se adhik uncha kiya jayega; aur har jaati ke log dhara ki naai uski oar chalegi.”6

Agar tum mujhe kahatey hue sun rahe ho ke hriday mein koi bhi swaal hai, zaroor pucho!

Main tumhe Bhavishyevakta Joseph Smith ke uddhaaran par chalne ke liye amantirith karta hoon jab usne James mein 1:5 ko padha: “Yadi tum meinse kisi ko bhudhi ki ghati ho, to Parmeshwar se maango, jo bina ulaahana diye sab ko uddhaarta se deta hai.”

Cumorah mein jo hua wah Punaharsthaapna ka ek zaroori bhaag tha, jab Joseph Smith ne palaets ko haasil kiya jismein Mormon ki Dharamshaastra tha. Yah dhramshaastra hume dharti par kisi anye kitaab se ziyada Maseeh ke nazdeek le jata hai. 7

Main apna gawahi deta hoon ki Prabhu ne bhavishyevaktaaoun, paegambaron, aur prakat karne waalako paeda kiya taaki Uske raajye ko in antim-dinon mein maarg mile aur Uske anant parivaaron ke yojna mein sabhi ko humesha saat rahana matlab hai. Wah Apne bachchon ka dekhbhaal karta hai aur humare prarthnaaoun ka jawaab deta hai.

Kyuki Uske mahaan prem ke karan, Ishu Masih humare paapion ke liye balidaan diya, aur Wah duniya ka Uddhaarkarta hai. Is ka main pavitra Ishu Maseeh ke naam se gawahi deta hoon, amen.