Purohiti ki Kunjiyaan aur Adhikaar kaha hai?
Purohiti adhikaar aur purohiti kunjiyaan engine ko shuru karti hai, swarg ke darvaje ko kholti hai, swargya Shakti ko sugam karti hai, pyaare Pitah Parmeshwar ke paas lautne ke liye pakke raste ko banati hai.
Sardi ke saanj ka suraj jaise hi barf se ghire pahad ke piche chupi, pahadiyon ki thandi hawa ne humare gaal aur naak ko chuba, ek kathor pradeshak ki tarah updesh deta hua ki ski resort ke parking lot me khadi apne gadiyon aur trako ko dhoondho. Waha humari araamdayak gadiyon me heater humare ungali aur payro ko garami pahuchati. Barf ke tootne ki awaaz ne pakka kiya ki yeh adhik thand ka mausam hai.
Humare parivaar ne barfillo ski pahado ka anand liya, jo ab ek thande anth par aa pahuncha tha. Gaadi par pahuchne mei, maine apne kot ke jeb me chaabi ke liye haath daala aur phir dusre jeb mei. “Chaabiya kaha hai?” Sabhi uthsuktha se chaabi ka intezaar kar rahe the! Gaadi ki battery charge thi, aur gaadi me sabhi system—isme heater shaamil hai—jaane ke liye tayyaar thi, par bina chaabi ke, band darvaaze hume andar jaane nahi deta; bina chaabi ke, gaadi ke engine ko taaqat nahi milti.
Us samay, humara mukhye dhyaan tha ki hum kis tarah se gaadi ke andar ja kar garmi paa sake, par mai apne aap ko yah sochne se rok na saka—tab bhi—ki yaha par koi shikshan hoga. Bina chaabi ke, yeh chamatkaari karigari plastic aur metal se badhkar thi. Bhale hi gaadi me kabiliyath thi, bina chaabi ke, wah apna kaarye nahi kar sakti thi.
Mai is anubhav par jitna zyaada vichaar karta hoon, mere liye yeh samaanta utna hi gehra banta jaa raha hai. Apne bachcho ke prati Pitah Parmeshwar ke prem se mai achambith hoon. Parmeshwar ne Joseph Smith par jo abhimaan drishti, aur swargya darshan Arpan kiya hai use main ascharyachakit hoon. Khaas kar, meri hirday zabarjasth abhaar se bhari hui hai purohiti adhikaar aur purohiti kunjiya ke punahsthaapna ke liye. Is punahsthaapna ke bina, hum apni gaaadiyon se bahar band ho jaate, jo hume apne swargye mata-pitah tak ghar pahuchne me yatra pradhaan karta. Sabhi dharam vidhi ka sampaadhan jo udhaar ke vachan se sambandhit hain, jo hume Pitah Parmeshwar tak vaapas le jaata hai uske liye purohiti kunji dwara sanchaalan zaroori hai.
May 1829 mei, John the Baptist, Joseph Smith aur Oliver Cowdery ke aage prakat hue, unpar Aaronic Purohiti ko arpan kiya, aur usse sambandith sabhi kunjiyon ko arpan kiya. Uske kuch samay baad Peter, James aur John ne unpar Melchizedek Purohiti ki kunjiyo ko arpan kiya. 1
Lag bhag saath saal baad Raviwaar ke din Kirtland Mandir mei, uski samparn hone k eek hafte baad, “Prabhu Yahuva mahima se prakhat hote hain” Joseph aur Oliver ke saamne, Moses, Elias aur Elijah ke prakhat hone ke baad, jinhone “apni kunjiya aur yug” 2 prathibandh kiya tha. Punahsthapit purohiti adhikaar aur kunjiya sadiyon tak khoi hui thi. Usi tarah jaise hamara parivaar gaadi se bahar band ho gaye the , chaabiyon ke khone se, waise hi Pitah Parmeshwar ke bachche Ishu Maseeh ke bachav dharam vidhi (saving ordinance) se bahar band ho gaye the—swargye dutho dwara divye punahsthaapna tak. Kabhi, bhi nahi hume yeh sawaal uthana padega, “Chaabiya kaha hai?”
Pichle varsh ek khubsurat din par, mai Uttarpakshim Pennsylvania ke ek shaant jungle ghumne gaya, jise dharamshaastra mei Harmony ke naam se jaana jaata hai, jaha John the Baptist, Joseph Smith aur Oliver Cowdery ko dikhaayi diye the, Aaronic Purohiti punahsthaapith karne ke liye. Mai Susquehanna Naddi ke thatt par bhi khada hua jaha Joseph aur Oliver ko adhikaar aur kunji sampann kiya gaya aur jaha unka baptisma hua. Issi naddi ke paas, Peter, James aur John prakhat hue aur Melchizedek Purohiti aur usse sambhandith sabhi chaabiyo ko punahsthaapith kiya.3
Yeh sthaan, tatha Joseph aur Emma ka phir se racha gaya pahela ghar, jaha Marman Dharamshastra ka zyada bhaago ka anuvaad hua tha; bagal mei Emma ke mata-pitah ka ghar; aur ek mahemaan Kendra (visitors’center) jise ek sabha ghar bana diya gaya hai, jismein ab Purohiti Punahsthaapna Kendra hai, jise pichle saal September mei Pradhaan Russell M. Nelson dwara samarpan kiya gaya tha. Vahan, maine swargye vaardaath jo us pavitra dharti par hue unki asliyath ko mehsoos kiya hai. Us anubhav ne mujhe sochne, padhne aur purohiti adhikaar aur purohiti kunjiya ke vishay me prarthna karne ke yogya kiya, jisse mai prabhavith hua Girja ke jawaan purush aur jawaan mahilaaye se baatne mei ki purohiti adhikaar aur punsthaapith kunjiya unhe kaise ashis de sakti hai.
Pahale, in shabdo ka arth samajhna laabdayak hoga. Purohiti, yah purohiti adhikaar, ka arth hai “Parmeshwar ki taqat aur adhikaar”4 aur “is dharti par pakka adhikaaar. 5 Purohiti kunjiya ka arth hai, humari samajh ke liye: “Purohiti kunjiya wah adhikaar hai jo Parmeshwar ne purohiti netaaon ko diya hai Unke purohiti ko is dharti par nirdeshan dene, niyantrit karne, aur Unke purohiti ka istemaal sanchaalan ke liye.”6 Purohiti kunjiya purohiti adhikaar istemaal ka niyantran karti hai. Dharam vidhi jo Girja me lekha (record) shuru karta hai ke liye kunjiya ki zaroorat hai aur iske adhikaar bina daakhil nahi ho sakta. Elder Oaks ne sikhlaya “anth me, purohiti ki saari kunjiya Prabhu Ishu Maseeh ke paas hai, jinki yeh purohiti hai. Weh tay karte hain ki kin kunjiyon ko maransheelon ko diya jaaye aur inka istemaal kaise ho.”7
Ab, tum jawaan purush aur jaawaan mahilao ke liye, maine teen tareeko ko chunna hai jisse tum “chaabiya ko dhoond sako,” ya in purohiti kunjiya aur adhikaar istemaal kar sako apne aur dusro ke jeewan mein ashish laane ke liye.
Pahala hai Prachaarak Sewa ke liye Tayaari karna
Mere jawaan bahiyon aur bahano, aapko shayad ahesaas na ho, par Israel ko ikatha karne ki kunjiya, jo Moses dwara punahsthaapna ki gayi, is yug ke pracharak karya ko mumkin banati hai. Gaor kijiye pure samay ke prachaarakon ke dal par jo lagbhag 75,000 ki sankhya mein in kunjiyo ke nirdeshan mein sewa pradaan karte hai. Ise dhyaan mein rakh kar, yaad karo ki kabhi bhi prachaar sewa ki tayyaari ke liye bahut jald nahin hota. For the Strength of Youth, mein hum padhte hai, “Aaronic Purohiti ke jawaan purush, … dhyaan se kaam karke apne aap ko tayyaar karo Prabhu ka pratinidhi banne ke liye prachaarak ke rup mein.”8 Jawaan mahilaaen bhi tayyaari kar sakte hai, magar tumhare “sewa karne ke ek samaan kanoon nahin hai.”9 Aap ki sabhi tayyaari, chahe aap pure samay ki prachaar sewa karein yah nahi, aapko sadasye prachaarak (member missionary) hone me laabh dega.
Dusri tarah “Chabiyaa Dhoondo” Mandir Dakhila se
Baandhne ki kunji, jo Purane Niyam ke bhavishyevakta Elijah ne punahsthaapith ki thi, ke dwara pavitra mandiron me dharamvidhiyaan hoti hai. In mandiron me jo dharamvidhi hoti hai uske dwara log niji rup se aur parivaar ke saath swargye maata-pitah ke sharan me laut paate hain.
Hum aap jawaan purush aur mahilaao ko prerith karthe hai ki aap apne purvajo ka naam dhoonde aur unke liye mandir me baptisma paye. Hum darj karte hain ki yah duniya bhar me mahatvapurn aur unginith sankhya me kiya jaa raha hai! Kai mandiron me Baptistery jawaan purush aur jawaan mahilaao se subha se sham tak bhari rahati hai. Chaabiyaa ghoom rahi hai jo parivaaro ko pavitra dharamvidhi dwara inhi mandiron me baandha jaa raha hai.
Kya aap purohiti kunjiya aur ashirvaad ke beech ka rishta dekh sakte hain? Jab aap is kaarye me shaamil honge tab aap dekhenge ki Prabhu ismein maojood hai. Ek anubhav yeh dikhlaata hai. Maine haal hi me ek maa ke baare me jaana jo apne baccho ko mandir baptisma sampadhan karne ke liye le jaati hai. Ek din, baptisma pura hone par jab yeh parivaar mandir se laut rahe the, ek aadmi kai parivaaro ke naamo ke saath Baptistry aya. Yah jaan kar ke koi baptistry me nahi bacha tha jo unki madad kar sake, ek mandir ke karamchaari ne is parivaar ko prasthaav kiya ki kya veh dobara kapde badal kar baptisma me madad kar sakte hain. Unhone khushi se maan liya aur waapas laut aye. Jab bachche baptisma lene lage, unki maa, jo sun rahi thi, ne naamo ko pahechaanna shuru kiya aur jald, sabke achambe mein, ne is vyakti ke parivaar waalo ke naamo ko pehchaana ki woh uske bhi rishtedaar the. Ek meetha, vinamra dayalupan unke liye.
Do sapthah pahale Provo City Center Mandir ka samarpan kiya gaya jo duniya bhar ke girja me 150th varthamaan mandir hai. Hum jante hai ki jab Pradhaan Thomas S. Monson ko 1963 mein Devdut ki swikriti mili thi, Girjaghar mein 12 chaalu mandirein thi. Mandir aap sab ke nazdeek hoti jaa rahi hai. Iske elawa, aap mein jo log har dam mandir nahi jaa paate duri ya paristhiti ke kaaran, aapko hamesha jaane ke yogye hona chahiye. Tum mandir se baahar reh kar zaroori kaarye kar sakte ho jab tum apne parivaar ke naam dhoondhoge aur use darj karaoge.
Anth me, Numbar Theen: Vishwaas se Aage Badho
Purane Niyam ke bhavishyevakta Abraham ko mahaan ashis mila tha Prabhu dwara unke yug me, kabhi kabhi hum ise Abrahamic vaada kahate hai. Hazaaro saal baad, Abraham ke yug ke ashis ko punahsthaapith kiya gaya. Yeh bhavishyevakta Elias jo Jospeh Smith aur Oliver Cowdery ko Kirtland Mandir me prakhat hone ke baad hua.
Is punahsthaapna ke dwara, hum sab ko Abraham ko diye gaye vaado ke ashish ki uplabdi hai. Yeh ashis aapka ho sakta hai agar aap vishwaaskari aur yogya rahe. Ek pathrika For the Strength of Youth, mei Pratham Adhyakshta hume anudesh dete hain ki “vishwaas se aage badho” kaise kar sakte hain. Mai unme se kuch anudesh ko sankchipt karta hoon: “Aap sab ko madad karna wah banne ke liye jo Prabhu chahate hain, har subha aur sham ko ghutne the kar Pitah Parmeshwar se prathna ki jiye. … Har din dharamshastra padhiye aur jo aap padhte hain use apne jewaan me amal ki jiye. … Har din agyakaari hone ki koshis banaye rakhiye. … Har sthiti mei, bhavishyevakta je siddhant ka palan ki jiye. … Vinamra rahiye aur Pavitra Atma ko suniye.”
Yeh anudesh ek vaade se juda hua hai jo vaada Abraham ke mile ashish se juda hua hai: “Jab tum aisa karoge, Prabhu tumhare jeewan ko aur zyaada safal banayege jitna tum khud nahi kar sakte. Weh tumhare liye mauke ko badhayenge, drishti ko chuada karenge, aur tumhe taqat denge. Weh tumhari madad karnge muskhilo aur musibaton se saamna karne me. Aapki gawahi aur taqatwar ho jayegi aur sacchi khusi prapt hogi jab aap Pitah Parmeshwar aur unke Putra, Ishu Masih ko janege aur Unka aapke prathi pyaar ko mehsoos karenge.” 10
Sankchipt me: prachaar sewa ki tayyaari karo, mandir me daakhil ho, aur vishwaas se aage badho.
Samaapthi
Ab hum waha anth karte hai jaha se humne shuruwaat ki, parking lot me fase hue yah puchte, “Chaabiyan kaha hai?” Us sham maine chamatkari se chaabiyon paya jo mere jeb se pahadi me gir gayi thi. Prabhu ne hume dikhlaya hai ki Weh hume thand mei bina kunji yah adhikaar ke jo hume surakchit waapas Unke paas ghar le jayega.
Agar aap meri tarah ho, tho aap humesha jeewan me puchthe rahenge, “Chaabiyan kaha hai”gaadi ki, daftar ki, ghar yah apartment ki? Jab mere saath aisa hotha hai, mai andar hi andar muskurata hoon, kyunki chaabiyan dhoondthe samay, mai purohiti kunji par gaur karta hoon aur Pradhaan Thomas S. Monson par, jinhe humne samarthan kiya “ek bhavishyevakta, devdut aur praktikarta”11 ki tarah aur aur ek hi aisa vyakti jise is dharti par adhikaar diya gaya hai sabhi purohiti kunjiyon ko istemaal karne ka. Haan, kunjiyan bhavishyevakta, devdut aur praktikartaaon ke saath surakchit hai. Ise dusro par pradathan kiya jata hai, nirdishta kiya jaata hai, Prabhu ke ichcha anusaar aur Girja ke Pradhaan ke aagya anusaar.
Mai gawahi deta hoon ki purohiti adhikaar aur purohiti kunjiyaan engine ko shuru karti hai, swarg ke darvaje ko kholti hai, swargya Shakti ko sugam karti hai, pyaare Pitah Parmeshwar ke paas lautne ke liye pakke raste ko banati hai.
Mai prarthna kartha hoon, yeh jawaan purush aur jawaan mahilaao ki ubharti pidhi, “Maseeh me dridhta se aage badhenge.” 12 taaki tum samjho ki yeh tumhara pavitra saobhagya hai ki tum jinke paas purohiti kunji hai unke nirdeshan dwara apne ashis, taufe, aur swargye taaqat ko khol sako.
Mai gawahi deta hoon Parmeshwar jo Pitah hai; jo humare Udhaarkarta aur Muktidaata, Ishu Maseeh ka; Pavitra Aatma ka; aur in antim dino me susmachaar ke punahsthaapna ka, Ishu Maseeh ke naam se, amen.